Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa Naat Lyrics
Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa, Anwar Ka Alam Kya Hoga
Har Koee Fida Hai Bin Dekhe, Deedar Ka Alam Kya Hoga
Ek Simt Ali Ek Simt Umar, Siddiq Idhar Uthman Udhar
In Jug Mug Jug Mug Taraun Me, Sarkar Ka Alam Kya Hoga
Jis Waqt Haleemah Ki Godi, Anware Khuda Se Raushan Thi
Us Waqt Haleemah Daee Ke, Ghar Bar Ka Alam Kya Hoga
Jab Inke Gada Bhar Dete Hai, Shahane Zamana Ki Jholi
Mohtaj Ka Jab Yeh Alam Ha, Mukhtar Ka Alam Kya Hoga
Chahe To Isharaun Se Apne, Kea Hi Palat De Duniya Ki
Yeh Shan Hai Unke Ghulamau’N Ki, Sardar Ka Alam Kya Hoga
Sun Sun Ke Sahaba Ki Batein, Kuffar Musalman Hote The
Phir Mere Rasoole Akram Ki, Guftar Ka Alam Kya Hoga
Taibah Se Hawaein Atee Hai Baikal Ko Sukoon Mil Jata Hai
Iss Par Ka Jab Yeh Alam Hai, Uss Par Ka Alam Kya Hoga
Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa Naat Lyrics
Naat Sharif: Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa Naat Lyrics

Post a Comment