zameeno zama tumhare lyrics By Allhaj Muhammad Owais Raza Qadri
Lyrics - zameeno zama tumhare by Allhaj Muhammad Owais Raza Qadri in Urdu. The zameeno zama tumhare is sung by Allhaj Muhammad Owais Raza Qadri. Read the full lyrics of zameeno zama tumhare by Allhaj Muhammad Owais Raza Qadri.
zameeno zama tumhare lyrics
Zamino Zamaan tumhare liye
Makino Makan tumhare liye
Chunino Chuna tumhare liye
Bane do jahan tumhare liye
Dahan me zuban tumhare liye
Badan me hai Jaan tumhare liye
Hum aye yaha tumhare liye
Uthe bhi waha tumhare liye
Jina me chaman chaman me saman
Saman me phaban phaban me dulhan
Sazaa’e Mahan par aise minan
Ye amno amaa tumhare liye
Ishare se chand ko cheer diya
Chupe huye khur ko pher diya
Gaye huwe din ko asr kiya
Yeh Taab o Tawa tumhare liye
Tumhari chamak tumhari damak
Tumhari jhalak tumhari mahak
Zamino falak samako samak
Me sikka nishan tumhare liye
Na Rooh e Ami na Arsh e Maki
Na Laoh e Mubin koi bi kahi
Khabar hi nahin jo Ramz khule
Azal ki niha tumhare liye
Yeh Shams o Qamar yeh Sham o Sahar
Yeh Barg o Shajar yeh Bagh o Samar
Yeh Tegh o Sipar yeh Taaj o Qamar
Yeh Hukm e Rawan tumhare liye
Saba woh chale ke baagh phale
Woh phool khile ke din ho bhale
Liwa ke tale sana me khule
Raza ki zaban tumhare liye
Post a Comment