Naimatain banta jis simt woh zeeshan gaya Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
Presenting you the lyrics of Naimatain banta jis simt woh zeeshan gaya. The Naimatain banta jis simt woh zeeshan gaya is sung by Syed Fasihuddin Soharwardi in Pakistan. Naimatain banta jis simt woh zeeshan gaya is the brand new Pakistan Naat of Syed Fasihuddin Soharwardi.
Naimatain banta jis simt woh zeeshan gaya Lyrics
Ne’amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya,
Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya
Naimatin Banta Jis Samat
Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhiyaan gaya
Mere Maula mere Aqa tere qurbaan gaya
Dil hai woh dil jo teri yaad say ma’moor raha
Sar hai woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya
Unhein jana unhein mana na rakhha ghair se kaam
Lillah Al Hamd main duniya se Musalmaan gaya
Jaan o dil hosh wa khirad sab to Madinay pahonche
Tum nahi chalte Raza sara to samaan gaya
Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi
Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya
Aur tum par mere Aqa ki Inayat na sahi
Najdiyo! Kalmah padhane ka bhi ehsaan gaya
Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya
Uff ray munkar yeh badha joshe ta’assub akhir
Bheed me haath se kam bakht ke Imaan gaya.
نعمتیں بانٹتا جس سمت وہ ذیشان گیا
ساتھ ہی منشئ رحمت کا قلمدان گیا
لے خبر جلد کہ غیروں کی طرف دھیان گیا
میرے مولیٰ میرے آقا ترے قربان گیا
آہ وہ آنکھ کہ ناکام تمنا ہی رہی
ہائے وہ دل جو ترے در سے پر ارمان گیا
دل ہے وہ دل جو تیری یاد سے معمور رہا
سر ہے وہ سر جو ترے قدموں پہ قربان گیا
انہیں جانا انہیں مانا نہ رکھا غیر سے کام
لله الحمد میں دنیا سے مسلمان گیا
اور تم پر مرے آقا کی عنایت نہ سہی
نجدیو کلمہ پڑھانے کا بھی احسان گیا
آج لے ان کی پناہ آج مدد مانگ ان سے
پھر نہ مانیں گے قیامت میں اگر مان گیا
اف رہ منکر یہ بڑھا جوش تعصب آخر
بھیڑ میں ہاتھ سے کم بخت کے ایمان گیا
جان و دل ہوش و خرد سب تو مدینے پہنچے
Post a Comment