Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam Lyrics By Syed Fasihudin

Lyrics - Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam by Syed Fasihudin in Pakistan. The Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam is sung by Syed Fasihudin. Read the full lyrics of Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam by Syed Fasihudin.

Mustafa-ﷺ-Jane-Rehmat-Pay-Lakho-Salam-Lyrics-Syed-Fasihudin

Lyrics Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam 

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam

Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam


Mehre Charkhe Nubuwwat Pe Roshan Durood

Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakhon Salaam


Shahre Yaare Iram Tajdar E Haram

Nou Bahaare Shafa'at Pe Lakhon Salam


Shab e Ashra Ke Dulha Pe Daa'im Durood

Nausha E Bazme Jannat Pe lakhon Salaam


Door o Nazdeek Ke Sunne Wale Woh Kaan

Kaan e Laal e Karaamat Pe Lakho Salaam


Jis Ke Maathe Safa'at Ka Sehra Raha

Us Jabeen E Sa'adat Pe Lakhon Salaam


Jis Ke Sajde Ko Mehraab e Kaba Jhuki

Unn Bhavo Ki Latafat Pe Lakhon Salam


Jis Taraf Uth Gayi Dam Mein Dam Aagaya

Us Nigah e Inaayat Pe Lakhon Salaam


Jis Se Taarek Dil Jagmagaane Lage

Us Chamak Wali Rangat Pe Lakhon Salam


Wo Zabaa(n) Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe

Uski Naafiz Huqumat Pe Laakho Salaam


Jis Ki Taski Se Rote Hue Hans Pare

Us Tabassum Ki Aadat Pe Lakhon Salam


Jisko Baare Do Aalam Ki Parwah Nahi

Aise Baazoo Ki Quwwat Pe Lakhon Salam


Kul Jahan Milk Aur Jau Ki Roti Ghiza

Us Shikam Ki Qana’at Pe Lakhon Salam


Jis Suhaani Ghadi Chamka Taiba Ka Chand

Us Dil Afroz Saa’at Pe Lakhon Salam


Allah Allah Woh Bachpane Ki Phaban

Us Khuda Bhaati Soorat Pe Lakho Salam


Kisko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koyi

Aankh Waalo Ki Himmat Pe Laakhon Salaam


Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam

Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam


Uss Batool E Jigar Paara E Mustafa

Jumla Aara E Iffat Pe Lakhon Salam


Syeda Zahira Tayyaba Tahira

Jaan E Ahmad Ki Raahat Pe Laakhon Salaam


Woh Daso Jin Ko Jannat Ka Muzda Mila

Us Mubarak Jama’at Pe Lakhon Salam


Jin Ke Dushman Pe Laanat Hai Allah Ki

Un Sab Ahle Mohabbat Pe Lakhon Salam


Woh Umar Jis Ke Aada Pe Shaida Sakar

Uss Khuda Dost Hazrat Pe Laakhon Salaam


Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakhon Salam

Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam


Ghous E Azam Imam Ut Tuqa Wannuqa

Jalwa E Shan E Qudrat Pe Lakhon Salam


Shere Shamsheer-Jan Shah e Khaibar Shikan

Partave Dost Qudrat Pe Lakhon Salam


Jis Ki Mimbar Bani Gardane Auliya

Us Qadam Ki Karamat Pe Lakhon Salam


Hazrat E Hamza Shere Khuda Wa Rasool

Zeenat E Qaadriyat Pe Laakhon Salaam


Be Azaabo Aetaabo Hisaabo Kitaab

Ta Abad Ahle Sunnat Pe Laakhon Salaam


Mere Ustaad, Maa-Baap, Bhai Bahen

Ahle Waldo Asirat Pe Lakhon Salam


Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur

Bheje Sab Unki Shauqat Pe Lakhon Salaam


Arsh Ki Zebo Zeenat Pe Arshi Durood

Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe laakhon Salaam


Noor E Ain E Latafat Pe Altaf Durood

Zaibo Zaine Najaafat Pe Laakhon Salaam


Sarve Naaz E Kidam Maghze Raaze Hikam

Yakka Taaze Fazilat Pe Laakhon Salaam


Nukta E Sirri Wahdat Pe Yakta Durood

Markaze Daure Kasrat Pe Laakho Salaam


Sahibe Raj'ate Shamso Saqqul Qamar

Naib E Daste Qudrat Pe Laakho Salaam


Jiske Zere Liwa Aadam o Man Siva

Uss Sada E Siyadat Pe Laakhon Salaam


Arsh Taa Farsh Hai Jiske Zere Nagee(n)

Uski Qaahir Riyaasat Pe Laakhon Salaam


Asle Har Bud o Bahbood Takhme Wajood

Qasim E Kanze Ne'amat Pe Laakhon Salaam


Fathe Baab E Nubuvvat Pe Behad Durood

Khatme Daur E Risalat Pe Laakhon Salaam


Sharke Anwaare Qudrat Pe Noori Durood

Fat-he Az Haare Qurbat Pe Laakho Salaam


Be-Saheemo Qasimo Adeelo Maseel

Jouhar E Farde Izzat Pe Laakho(n) Salaam


Sirre Ghaib E Hidayat Pe Ghaibi Durood

Itre Jaibe Nihayat Pe Laakho Salaam


Maahe Lahoote Khilwat Pe Lakhon Durood

Shahe Naasoot E Jalwat Pe Lakhon Salam


Hum Garibo Ke Aaqa Pe Behad Durood

Hum Faqeero Ke Sarwat Pe Lakhon Salam


Jis Ke Aage Sare Sarwaraa Kham Rahe

Us Sare Taaje Rif’at Pe Lakhon Salaam


Patli, Patli Gule Quds Ki Pattiyan

Un Labon Ki Nazakat Pe Lakhon Salam


Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam

Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam


Woh Dahan Jiski Har Baat, Wahi-Aye Khuda

Chash’maaey Ilmo Hikmat Pe Lakhon Salam


Noor Ke Chasme Lehraye, Dariya Bahe

Ungliyo Ki Karamat Pe Lakhon Salam


Khaai Qur’aney Khaake Guzar Ki Qasam

Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakho Salaam


Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam

Sham E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam


Khalq Ke Daad Ras, Sab Ke Fariyaad Ras

Kahfe Roze Musibat Pe Lakhon Salam


Sham-E Bazme ‘Dana Hu’ May Gham Kum Ana

Sharhe Matne Huyyat Pe Lakhon Salam


Jis Se Khaarey KooWey Shiraaey Jaa Bane

Us Zulaaley Halaawat Pe Lakhon Salam


Mujh Se Khidmat Ke Qudsi Kahe Haan RAZA!

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam


Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam

Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam



Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam ll Syed Fasihudin Soharvardi

Presenting you the lyrics of Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam. The Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam is sung by Syed Fasihudin in Pakistan. Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam is the brand new Pakistan Naat of Syed Fasihudin.


Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam is the newest Pakistan Naat. The Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam is sung by Syed Fasihudin. Get the full lyrics of Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam in Pakistan.

Get the lyrics of Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam by Syed Fasihudin. Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam is the newest Pakistan Naat sung by Syed Fasihudin. Check the full lyrics of Mustafa ﷺ Jane Rehmat Pay Lakho Salam.

Post a Comment

Previous Post Next Post