Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat Lyrics By Awais Raza Qadri

Presenting you the lyrics of Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat. The Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat is sung by Awais Raza Qadri in Pakistan. Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat is the brand new Pakistan Naat of Awais Raza Qadri.

Aaya-Hai-Bulawa-Mujhe-Darbar-e-Nabi-Se-Naat-Lyrics-Awais-Raza-Qadri

Lyrics Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat 

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi (saw) se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Har aah gayi arsh pe ye aah ki qismat


Har ashq pe ek khuld hai har ashq ki qeemat


Tohfa ye mila hai mujhe sarkar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Shukr-e-Khuda ke aaj ghadi us safar ki hai


Jis par nisaar jaan falah-o-zafar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Garmi hai tap hai dard hai kulfat safar ki hai


Na shukr ye tu dekh azimat kidhar ki hai


Lutten hain mare jaaten hain yun hi suna ke ye


Har bar bhi wo aman ke ghairat hazar ki hai


Hamko to apne saye me aaram hi se laye


Hile bahane walon ko ye raah dar ki hai


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Maah-e-Madeena apni tajalli ata kare


Ye dhalti chandni to pahar do pahar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Uske toofail haj bhi khuda ne kara diye


Asl-e-murad hazri us paak dar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Kaabe ka naam tak na liya taiba hi kaha


Poochha tha hamse jisne bhi nuhzat kidhar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Un par darud jinko hajar tak karen salam


Un par salam jinko tahiyat shajar ki hai


Un Par darud jinko kasen be kasan kahe


Un Par salam jinko khabar be khabar ki hai


Jinn-o-bashar salam ko hazir hai assalam


Ye bargaah malike jinn-o-bashar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Shams-o-qamar salam ko hazir hai assalam


Khoobi unhin ki jut se shams-o-qamar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Sango shajar salam ko hazir hai assalam


Kalme se tar zaban darakht-o-hajar ki hai


Sab bahr-o-bar salam ko hazir hai assalam


Kamli unhi ke naam to har bahr-o-bar ki hai


Arz-o-asar salam ko hazir hai assalam


Maljan ye bargaah duaon asar ki hai


Shorida sar salam ko hazir hai assalam


Rahat unhin ke qadmon me shorida sar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Khasta jigar salam ko hazir hai assalam


Marham yahin ki khak to khasta jigar ki hai


Sab khushk-o-tar salam ko hazir hai assalam


Ye jalwah gah malike har khush-o-tar ki hai


Sab Karr-o-bar salam ko hazir hai assalam


Toti yahin to khak pe har karr-o-farki hai


Ahl-e-nazar salam ko hazir hai assalam


Ye gard hi to surma sab ahl-e-nazar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Bhaati nahin hamdam mujhe jannat ki jawani


Sunta nahin zahid se main hooron ki kahani


Ulfat hai mujhe saya-e-deeware Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Ye pyari pyari kyari khana baab ki


Sar jiske aab-o-taab se atish safar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Jannat me aake naar jaat nahin koi


Shukr-e-khuda naweed na to zafar ki hai


Ulfat hai mujhe saaya-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Momin hoon mominon pe rauqurraheem ho


Saail hoon saailon ko khushi lanazar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Jin jin muradon ke liye ahbab ne kaha


Peshe khabeer kya mujhe hajat qabar ki hai


Aa kuchh suna de ishq ke bolon me ae Raza


Mushtaq tab’a lazzaten sauzen jigar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Bhini suhani subh me thandhak jigar ki hai


Kaliyan khili thin ruh ki hawa ye kidhar ki


Ubti hui andar me ada kis sahar ki hai


Chubhti hui jigar me sada kis gajar ki hai


Dalen hari hari hain to balen bhari bhari


Kishten amal pari hai ye barish kidhar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Ham jayen aur qadam se lipat kar haram kahen


Sounpa khuda ko tujh ko ye azmat safar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Ham gird-e-kaaba phirte the kal tak aur aaj wo


Ham par nisaar hai ye iradat kidhar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Kalak jabeen ki sajdahe har se chhuraoge


Mujh ko bhi le chalo ye tamanna hajar ki hai


Dooba hua hai shouq me zam zam aur aankh se


Jhalen baras rahen ye hasrat kidhar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Farsa ke jane walon pe gauhar karoon nisaar


Abre karam se arz ye mizab-e-zar ki hai


Aaghosh shouq kholenge jinke liye hakeem


Wo phir ke dekhten nahin ye dhun kidhar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi (saw) se


Haan haan rahe madeena hai ghafil zara to jaag


O paaon rakhne wale ye jaa chashm-o-sar ki hai


Waaroon qadam qadam ye har dam hai jaan lo


Ye rahe jaan fiza mere maula kidhar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Har aah gayi arsh pe ye aah ki qismat


Har ashq pe ek khuld hai har ashq ki qeemat


Tohfa ye mila hai mujhe sarkar-e-Nabi (saw) se


Ghadiyan gini hain barson ki ye shubh ghadi phiri


Mar mar ke phir ye sil mere seene se sar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Allahu akbar apne qadam our ye khak-e-paak


Hasrat malaaika ko jahan wazhe sar ki hai


Miraj ka sama hai kahan pahunche zahiron


Kursi se unchi kursi isi paak dar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Sauden ka qiran hai pahlu maah me


Jhurmut ki qataren tajalli qamar ki hai


Mahboob-e-rabb-e-arsh hai is sabz khubb me


Pahlu me jalwa gah atiq-o-umar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Chhaye malaaika ne lagatar hai darud


Badle hain pahre badle me barish turar ki hai


Sattar hazar subh hain sattar hazar shaam


Kyun bandagi ye zulfon aathon pahar ki hai


Jo ek baar aye dobara na ayenge


Rukhsat ki bargah se bas is qadar ki hai


Tadpa kare badal ke phir aana kahan naseeb


Be hukm kab majal parinde ko par ki hai


Ae wahe bekasi ye tamnna ke ab ummeed


Din ko na shaam ki hai na shab ko sahar ki hai


Ye badliyan na ho to caroron ki aas jaye


Our bargah marhamaten aam tar ki hai


Mahsoom to hai umr me sirf ek bar bar


aasi pare rahe to salakh umr bhar ki hai


Zinda rahe to hazri-e-bargah naseeb


Mar jayen to hayat-e-abad aish ghar ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Kyun tajdaron khawab me dekhi kabhi ye shae


Jo aaj jholiyon me gadayan-e-dar ki hai


Taiba me mar ke thandhe chale jaao aankhen band


Seedhi sadak ye shahar shafaat nagar ki hai


Aasi bhi hai chaheete ye taiba hai zahidon


Makka nahi ke jaanch jahan khair-o-shar ki hai


Kaaba hai bashatan arjumanaara dulhan magar


Saari bahar dulhan-o-dulha ke ghar ki hai


Kaaba dulhan hai turbate athar nahi dulhan


Ye rashke aftab hai ho ghairat qamar ki hai


Dono bani sajeeli ya neeli bani magar


Jo pi ke paas hai wo suhagan kawer ki hai


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Itna ajab bulandi ye jannat pe kis liye


Dekha nahi ke bheekh ye kis unche ghar ki hai


Arsh-e-bari pe kyun na ho firdous ka dimag


Utri hui shabih tere baam-o-dar ki hai


Wo khund jisme utregi abrar ki barat


Adna nichhwar usme mere dulha ki sar ki hai


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Uff behayaiyan ke ye muh aur tere huzoor


Haan tu kareem hai teri khu dar guzar ki hai


Tujh se chhupaun muh to karun kiske samne


Kya aur bhi kisi se tawaqqo nazar ki hai


Jaaun kahan pukarun kise kis ka muh taku


Kya pursi shor jaan bhi sage behunar ki hai


Uff behayaiyan ke ye muh aur tere huzoor


Haan tu kareem hai teri khu dar guzar ki hai


Tujh se chhupaun muh to karun kiske samne


Kya aur bhi kisi se tawaqqo nazar ki hai


Jaaun kahan pukarun kise kis ka muh taku


Kya pursi shor jaan bhi sage behunar ki hai


Mujrim bulaye aaye hain jaan ho gaye goaab


Phir rag ye sham kareemo ke dar ki hai


Sarkar ham gawaaron me tarze adab kahan


Ham ko to bas tameez yehi bheekh bhar ki hai


Labwahe aankhe band hai phaili hai jholiyan


Kitne maze ki bheekh tere paak dar ki hai


Mangenge mange jayenge muh payi payenge


Sarkar me na na hai na hajat agar ki hai


Mangta ka haath uthte hi data ki den thi


Doori qubool-o-arz me bas haath bhar ki hai


Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se


Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se


Jannat na de teri ruyyat ko khair se


Is gul ke aage kisko hawas bar ghour ki hai


Sharbat na de to kare baat lutf se


Ye shahad ho to phir kise parwah shakkar ki hai


Sanki wo dekh bad shafaat ki de hawa

Aaya hai bulawa mujhe Darbar e nabi se naat by Awais raza qadri

Check out the lyrics of Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat by Awais Raza Qadri. The Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat is the latest Pakistan Naat. This Pakistan Naat is sung by Awais Raza Qadri.

Lyrics - Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat by Awais Raza Qadri in Pakistan. The Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat is sung by Awais Raza Qadri. Read the full lyrics of Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat by Awais Raza Qadri.

Get the lyrics of Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat by Awais Raza Qadri. Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat is the newest Pakistan Naat sung by Awais Raza Qadri. Check the full lyrics of Aaya Hai Bulawa Mujhe Darbar e Nabi Se Naat.

Post a Comment

Previous Post Next Post