Aastan Hai Yeh Kis Shah-E-Zeshan Ka Lyrics By Ustad Nusrat Fateh Ali Khan
Check out the lyrics of Aastan Hai Yeh Kis Shah-E-Zeshan Ka by Ustad Nusrat Fateh Ali Khan. The Aastan Hai Yeh Kis Shah-E-Zeshan Ka is the latest Pakistan Qawali. This Pakistan Qawali is sung by Ustad Nusrat Fateh Ali Khan.
Lyrics Aastan Hai Yeh Kis Shah-E-Zeshan Ka
Allah Re! Kya Bargah e Ghaus Jaleeñ Hai
Gardan Ko Jhukaae Hue Ek Ek Wali Hai
Har Gaam Pe Sajde Ki Tamanna Hai Jibeeñ Ko
Ye Kis Ka Dar e Naaz Hai, Ye Kis Ki Gali Hai
Aastañ Hai Ye Kis Shah e Zeeshan Ka Marhaba Marhaba!
Aastañ Hai Ye Kis Shah e Zeeshan Ka Marhaba Marhaba! ..
Aastañ Hai Yeh KisKa,
Aastañ Hai Yeh KisKa..
Sajde Jahañ Pe Karte Haiñ Aa Aa Ke Farishte
Aastañ Hai Ye KisKa
Aastañ Hai Yeh KisKa…
Malaayik Sar Jhukhate Haiñ, Wali Aañkheiñ Bichhaate Haiñ Dekho
Aastañ Hai Yeh KisKa
Aastañ Hai Yeh KisKa..
Aastañ Hai Ye Kis Shah e Zeeshan Ka Marhaba Marhaba! ..
Ni Barghah e Hazrat e Ghaus as Saqalain ast
Naqade Kamare Haidar o Nasl e Hasanain ast
Maañ Darsh Husaini Nasab
ast o Pidar e Oo
Zaulaad e Hasan Yani Kareem ul Abawain ast
Aastañ Hai Yeh Kis Shah e Zeeshan Ka Marhaba Marhaba! ..
Jhukhi Bahr e Ibadat Jab Shah e Baghdad Ke Dar Par
Ajab Tauqeer e Sajda Apni Peshani Meiñ Dekhi Hai
Aastañ Hai Yeh Kis Shah e Zeshan Ka Marhaba Marhaba! ..
Qalb Haibat Se Larzaañ Hai Insaan Ka
Marhaba Marhaba!
Hai Asar Bazm Par Kis Ke Faizan Ka
Marhaba Marhaba!
Ghar Basaane Meri Chashm e Veraan Ka
Marhaba Marhaba! …
Chaañd Nikla Hasan Ke Shabistaan Ka
Marhaba Marhaba! …
Chaañd Nikla.. Wo Nikla
Chaañd Nikla.. Wo Nikla…
Marhaba Marhaba ..
Wo, Wo Chaañd Nikla.. Wo Nikla
Chaañd Nikla.. Wo Nikla ..
Chaañd Nikla Hasan Ke Shabistaan Ka
Marhaba Marhaba!..
Sar Ki Zeenat Amama Hai Irfaan Ka
Marhaba Marhaba!
Jubba Tan Par Muhammad ﷺ Ke Ehsaan Ka
Marhaba Marhaba!
Rañg Aañkhoñ Meiñ Zahra Ke Faizan Ka Marhaba Marhaba
Roop Chehre Pe Ayaat e Quran Ka
Marhaba Marhaba !…
Roop Chehre Pe Ayaat e Quran Ka
Roop Chehre Pe Ayaat e Quran Ka ..
Roop Chehre Pe Ayaat e Quran Ka
Marhaba Marhaba !…
Saj Ke Baitha Hai Naushaah Jeelan Ka Marhaba Marhaba ….
Nagar Nagar Meiñ Karo Munaadi
Hai Shaah e Jeelañ Ki Aaj Shadi
Saj Ke Betha Hai Naushaah Jeelan Ka ..
Sare Waliyoñ Ko Mehmañ Bulaya Gaya
Gaus e Azam Ko Doolha Banaya Gaya
Wo Wo
Saj Ke Baitha Hai Naushaah Jeelan Ka Marhaba Marhaba ….
Meerañ Ke Ghar Hai Shaadi, Aaye Wali Nabi Sab
Taiba Se Mustafa ﷺ Bhi Tashreef Laa Rahe Haiñ
Saj Ke Baitha Hai Naushaah Jeelan Ka Marhaba Marhaba ..
Nazroñ Ko Shauq e Deed Hai
Mañgtoñ Meiñ Jashn e Eid Hai
Saj Ke Baitha Hai Naushaah Jeelan Ka Marhaba Marhaba ..
Bazm e Kaun o Makaañ Ko Sajaya Gaya
Aaj Salle Ala
Saayebañ Rahmatoñ Ka Lagaya Gaya
Aaj Salle Ala
Ambiya, Auliya Ko Bulaya Gaya
Aaj Salle Ala
Ibn e Zahra Ko Doolha Banaya Gaya
Aaj Salle Ala
Ibn e Zahra Ko Doolha Banaya Gaya
Ibn e Zahra Ko Doolha Banaya Gaya…
Ibn e Zahra Ko Doolha Banaya Gaya
Aaj Salle Ala ….
Urs Hai Aaj Mahboob e Sub’han Ka
Marhaba Marhaba! ..
Aao Deewano Muraadeñ Apni Apni Maañg Lo
Urs Hai Aaj Mehboob e Sub’han Ka
Marhaba Marhaba! …
Jholiyañ Har Sawali Ki Bhar Jayeiñgi
Dar Sakhi Ka Khula Hai A’taa Ke Liye
Urs Hai Aaj Mehboob e Subhan Ka
Marhaba Marhaba! .,.
Aasmañ Manzilat Kis Ka Aiwaan Hai
Wah Kiya Shaan Hai!
Aaj Khalq e Khuda Kis Ki Mahman Hai
Wah Kya Shaan Hai!
La Takhaf Kis Ka Mash’hoor Farman Hai
Wah Kya Shan Hai!
Bil Yaqeeñ Wo ShahinShaah e Jeelan Hai
Wah Kya Shan Hai!
Haq Diya Jis Ko Qudrat Ne Eilaan Ka
Marhaba Marhaba! …
Har Taraf Aaj Rahmat Ki Barsaat Hai
Wah Kya Baat Hai!
Aaj Khulne Pe Qufl e Mohimmaat Hai
Wah Kya Baat Hai!
Chaar Soo Jalwa Araayi e Zaat Hai
Wah Kya Baat Hai !
Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai
Wah Kya Baat Hai !
Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai
Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai ..
Aao Faqeeroñ Aao Jholi Ko Apni Bhar Lo
Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai
Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai ..
Ye Waqt Hai Karam Ka
Sarkar Karam Farmate Haiñ, Aao
Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai ..
Koi Bharne Pe Kashkol e Haajaat Hai
Wah Kiya Baat Hai !
Jaagne Ko Muqaddar Hai Insaan Ka Marhaba Marhaba ! …
Gulshan e Mustafa Ki Phaban Aur Hai
Ye Chaman Aur Hai
Shah e Abraar Ki Anjuman Aur Hai
Ye Chaman Aur Hai
Boo e Gul Dasta e Panjtan Aur Hai
Ye Chaman Aur Hai
Shaan e Aal e Husain o Hasan Aur Hai
Ye Chaman Aur Hai
Shaan e Aal e Husain o Hasan Aur Hai
Shaan e Aal e Husain o Hasan Aur Hai
Shaan e Aal e Husain o Hasan Aur Hai
Ye Chaman Aur Hai
Sarmadi Rang Hai Is Gulistan Ka Marhaba Marhaba! ..
Golre Ki Zameeñ Kitni Mas’ood Hai
Khitta e Jood Hai
Peer Mehr e Ali Jis Meiñ Maujood Hai
Khitta e Jood Hai
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …
Ik Silsila e Noor Hai Har Saañs Ka Rishta
Eemaan Mera Hubb e Nabi, Mehr e Ali Hai
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …
Koi Kisi Ka, Koi Kisi Ka, Mere
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …
Majnoo Ko Mili Laila, Yousuf Ko Zulaikha
Aur Mujh Ko Mere,
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali …
Khayal Apna Apna Pasand Apni Apni
Mere to Haiñ,
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali
Peer Mehr e Ali, Peer Mehr e Ali…
Peer Mehr e Ali Jis Meiñ Maujood Hai
Khitta e Jood Hai..
Golre Ki Zameeñ Kitni Mas’ood Hai
Khitta e Jood Hai
Peer Mehr e Ali Jis Meiñ Maujood Hai
Khitta e Jood Hai
Kya Haseeñ Manzar e Shan e Maabood Hai
Khitta e Jood Hai
Har Aayaaz iska Humghosh e Mahmood Hai
Khittae Jood Hai
Auj Paya Hai Birjees o Paiwaan Ka Marhaba Marhaba!
Shamm e Tauheed Dil Meiñ Jala Kar Piyo
Dil Laga Kar Piyo
Shah e Bat’ha Ki Khairat Paa Kar Piyo
Dil Laga Kar Piyo
Shaikh Ke Aastane Pe Aa Kar Piyo
Dil Laga Kar Piyo
Aañkh Mehr e Ali Se Mila Kar Piyo
Dil Laga Kar Piyo …
Aañkh Mehr e Ali Se Mila Kar Piyo
Aañkh Mehr e Ali Se Mila Kar Piyo..
Aañkh Mehr e Ali Se Mila Kar Piyo
Dil Laga Kar Piyo …
Khud Pilaane Pe Saqi Hai Jeelan ka
Marhaba Marhaba! …..
Hai Ajab Husan Ka Baañk Pan Samne
Ik Chaman Samne
Ahl e Tat’heer Haiñ Khaima Zan Samne
PanjTan Samne
Hai Ye Roo-e Hasan Ki Phaban Samne
Ya Hasan Samne
Jalwa Farmañ Haiñ Ghaus e Zaman Samne
Zaufigan Samne
Dekhiye Kya Bane Chashm e Hairan Ka
Marhaba Marhaba!
Shah e Jeelañ ki Chaukhat Salamat Rahe
Ta Qayamat Rahe
Shah e Jeelañ ki Chaukhat Salamat Rahe
Shah e Jeelañ ki Chaukhat Salamat Rahe…
Shah e Jeelañ ki Chaukhat Salamat Rahe
Ta Qayamat Rahe
Naqsh e Paa Ka Chaman Pur Karamat Rahe
Ta Qayamat Rahe
Khal’ate Ijtibaaz e Be Qaamat Rahe
Ta Qayamat Rahe
Sar Pe Waliyoñ Ka Taaj e Imamat Rahe
Ta Qayamat Rahe
Sar Pe Waliyoñ Ka Taaj e Imamat Rahe
Sar Pe Waliyoñ Ka Taaj e Imamat Rahe
Ta Qayamat Rahe
Silsila Ghaus e Azam Ke Faizaan Ka
Marhaba Marhaba! …
Mazhar e Zaat e Rab e Qadeer Aap Haiñ Dastgeer Aap Haiñ
Karwaan e Karam Ke Ameer Aap Haiñ Dastgeer Aap Haiñ
Shah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ Dastgeer Aap Haiñ ..
Shah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ
Shah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ..
Dastgeera! Kar Mehr Tu Mehr Ali Te
Tere Baaj Hai Kaun Allah Raasiyañ Daa
Shah e Baghdad Peeraan e Peer Aap Haiñ…
Mehr Hai Sari Ali Di, Shak Na Rah Gaya Ik Zara
Karam Keeta Gaus e Azam Saddaañ Sardeyañ Waaleyañ
Shah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ..
Shah e Baghdad Peeran e Peer Aap Haiñ
Dastgeer Aap Haiñ …..
Is Naseer e Haziñ Ke Naseer Aap Haiñ Dastgeer Aap Haiñ ….
Koi Hamsar Nahiñ Aap Ki Shaan Ka
Marhaba Marhaba ! …
Post a Comment