Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Lyrics by Nusrat Fateh

 
Kali-Kali-Zulfon-Ke-Phande-Na-Lyrics

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Info

Song: Kaali -Kaali Zulfon Ke Phande Na Dalo

Artist: Nusrat Fateh Ali Khan

Album: Kaali Kaali Zulfon Ke

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo Lyrics - is a romantic Urdu qawwali by Nusrat Fateh Ali Khan. Read the lyrics of Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo. The Orchard Music, Tseries Music (on behalf of T-Series); EMI (Pakistan) Ltd. Publishing, LatinAutorPerf, Memory Lane Music (Publishing), UNIAO BRASILEIRA DE EDITORAS DE MUSICA - UBEM, LatinAutor - SonyATV, Sony ATV Publishing, and 8 Music Rights Societies

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na | Nusrat Fateh Ali Khan | complete full version | OSA Worldwide

Lyrics By  Kali Kali Zulfon Ke Phande Na

bhaun na gil husn ki dilkashi se,

Jo kehna hai keh do magr door hi se,

Yai naaz o ada ham na dekhenge, dekho

Karo baat lekin bari saadgi se.



Kali kali zulfo ke phande na dalo,

Hamein zinda rehne do ae husn walon.



Sambhalo zra apna aanchal gulaabi,

Dikhao na hans hans k aankhein shrabi,

Salook inka dunya mai acha nahe hai,

Haseenon pe hamko bharosa nahe hai,

Uthatay hain nazrein tw girti hai bijli,

Ada jo bhi nikli qayamat hi nikli,

Jahan tumny chehre se aanchal hataya,

Wohin ehl e dil ko tamasha banaya,

Jahan tumny chehre se aanchal hataya,

Wohin ehl e  dil ko tamasha banaya, 

Khuda k liye ham pe doorain na daalo,

Hamein zinda rehne do ae husn walon.



Kali kali zulfo k phande na dalo,

Hamein zinda rehne do ae husn walon.



Sambhly tw yai aashiq ko sambhlny ne nahe deti,

Dhans le tw yai paaon badalny nahe deti,

Ham jaante hain inki adaaon ko yai nagin,

Insaan ko uljhan se nikalny nahe deti hamein.



Kali kali zulfo k phande na dalo,

Hamein zinda rehne do ae husn walon.



Ulfat k buray haal se dar lgta hai,

Har morh pe iss jaal se dar lgta hai,

Hum se isy do chaar qadam door hi rakho,

Zulfo k siyah jaal se darr lgta hai.



Kali kali zulfo k phande na dalo,

Hamein zinda rehne do ae husn walon.



Sada waar karte hou mere jafa ka,

Bahatay hou tm khoon ehl e wafa ka,

Yai nagin se zulfain- Yai zehreeli nazrain,

Woh paani na mangein- Yeh jis ko bhi dhans lein,

Woh lut jae jo tm sy dil ko lgaye,

Phiray hasrato ka janaza uthaye,

Hai maloom hamko tumari haqeeqat,

Mohabbat k parde se karte hou nafrat,

Kahin aur jaa k adaaen uchalo,

Hamein zinda rehne do ae husn walon.



Kali kali zulfo k phande na dalo,

Hamein zinda rehne do ae husn walon.



Dunya k haseenon se bhalayi nahi milti,

Ulfat mai ksi ko bhi rahaayi nahe milti,

Zulfo mai na uljhaao khuda k liye hmko,

Iss qaid se aashiq ko rahaayi nahe milti,



Kali kali zulfo k phande na dalo,

Hamein zinda rehne do ae husn walon.



Yai jhooti numaish- Yai jhooti banawat,

Faraib e nazar hai- Nazar ki lagawat,

Yai bismil se gaisu- Yai aariz gulaabi,

Zamanay mai laenge ek din kharaabi,

Fanaa ham ko kar de na yai muskurana,

Adaa kaafiraana chalan zaalimaana,

Dikhao na ye ishwa o naaz ham ko,

Sikhao na ulfat k andaaz ham ko,

Ksi aur par zulf ka jaal dalo, 

Hamein zinda rehne do ae husn walon



Kali kali zulfo k phande na dalo,

Hamein Zinda rehne do ae husn walon.



Jisko chaahte hou loot lete hou,

Tum kisi ka bhala nahe karte. 



Kali kali zulfo k phande na dalo,

Hamein zinda rehne do ae husn walon.



Ksi ki jaan gayi aap ki ada thehri.



Kali kali zulfo k phande na dalo,

Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Hamein zinda rehne do ae husn walon.

Hamein zinda rehne do ae husn walon

Post a Comment

Previous Post Next Post