Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai Lyrics by Ustaad Nusrat Fateh Ali Khan


Yeh jo halka halka suroor hai Nusrat Fateh Ali Khan (Official Video)


Ye Jo Halka Halka Saroor Lyrics by Nusrat Fateh Ali Khan | 2021


Ye jo halka halka suroor hai


Ye teri nazar ka qasoor hai


Ke sharab pena sikha diya


Tere pyar ne teri chaah ne


Tteri behki behki nigaah ne


Mujhe ek sharabi bana diyaa


Sharab kaisi, Khumaar kaisa


Ye sab tumhari navazishen hain


Pilayi hai kis nazar se tu ne


Ke mujh ko apni khabar nahin hai



Sara Jahan mast, Jahan ka nizam mast


Din mast, Raat mast, Seher mast, Shaam mast


Mast shisha, Mast subu, Mast jaam mast


Hai teri chashm-e-mast se har Khas-o-am mast



Ye jo saaqi har tarah ki tere may-khane main hai


Wo bhi thorri si jo in ankhon ke paimane main hai


Sab samajhta hun teri ish nazar ai saaqi


Kaam karti hai nazar, naam hai paimane ka


Teraa pyar hai bas meri zindagi



Na namaz ati hai mujhko na vuzu ata hai


Sajdaa kar leta hun jab samne tu ata hai


Main azal se banda-e-ishq hun


Mujhe zuhd-o-kufr ka gham nahin


Mere sar ko dar tera mil gayaa


Mujhe ab talash-e-haram nahin



Meri bandagi hai vo bandagi


Jo baqaid-e-dair-o-haram nahin


Mera ek nazar tumhain dekhna


Ba-Khuda namaz se kam nahin


Tera pyar hai bas meri zindagi


Qayamat main tera dagh-e-muhabat lekar uthaungaa


Teri tasvir us dam bhi kaleje se lagi hogi


... Kyunkey,


Tera pyar hai bas meri zindagi


Teri yaad hai meri bandagi


Jo teri khushi, wo meri khushi


Ye mere junoon ka hai mojizaa


Jahaan apne sar ko jhuka diyaa


Vahan main ne Kaaba bana diyaa


Mere baad kisko sataaoge?



Dil jalon se dil lagi achi nahin


Rrone Walon se hansi achi nahin


Dil lagi hi dil lagi main dil gaya


O mera dil gaya, dil gaya, dil gayaa



Khuda ke liye apni nazron ko roko warna


Mera dil gaya, dil gaya, dil gayaa


Meri tarah Khuda kare tera kisi pe aye dil


Tu bhi kaleja tham ke kahta phire ke haye dil


Mera dil gaya, dil gaya, dil gayaa


Dil lagi hi dil lagi main dil gayaa


Dil lagane ka nateja mil gayaa


Main to rota hoon ke mera dil gayaa


Tum kyun hanste ho tumhain kya mil gayaa?


... Achaa phir


Mere baad kisko sataogey?


Mujhe kis tarah se mitaogey?


Kahaan jaa kar teer chalaaogey?


Meri dosti ki balayain lo


Mujhe hath utha kar duaain do


Tumhain ek qatil bana diyaa


Arjun Samant


Mujhe dekho khwaish-e-jaan-e-jaan


Main wohi hun "Anwar"-e-nim jaan


Tumhain itnaa hosh tha jab kahaan


Na chalao is tarah tum zubaan


Karo mera shukriya mehrbaan


Tumhain baat karna sikha diyaa


Ye jo halka halka suroor hai


Ye teri nazar kaa qusoor hai


Ke sharab pena sikha diyaa

More info about Lyrics Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai by Nusrat Fateh Ali Khan


Song:
Yeh Jo Halka Saroor Hae - Nusrat Fateh Ali Khan
Artist:
Nusrat Fateh Ali Khan
Album:
Love Songs

Post a Comment

Previous Post Next Post